Zindagi, buss kar,
ab thakk chuki hu mai...Naye naye chehro ko padh kar,
pakk chuki hu mai...
》 Mausam itna aaye, or itne gaye,
es safar me mere,
ki teri halki barish
or tezz hawaao ko,
Zindagi, buss kar,
ab thakk chuki hu mai...
》 Teri kahaniyo se malaal nhi koi,
un kahniyo ke khatam hone ka
darr rehta hai...
Sahi waqt me harr koi sath hota h
mere, bura waqt me dhoonti hu,
kon mere sath rehta hai...
Is tarah soyi hai raatien meri,
us waqt ke kinaare reh kar,
ki waqt beet ta gaya harr din
mera, or raatien thaki haari,
wahi bekaar harr subha mera haal,
rehta hai...
Or waqt mujsa mere waqt ki
keemat puchta hai----
Or waqt mujsa mere waqt ki
keemat puchta hai----
Btaa de waqt ko,
ki bhatak chuki hu mai...
Zindagi, buss kar,
ab thakk chuki hu mai...
Zindagi, buss kar,
ab thakk chuki hu mai...
》 Tera tehde mehde raasto
se darr nhi,
Buss logo sa darr lagta hai...
Milkar tufaano se,
ye dil ghabraata to nhi,
buss naqaabi chehro se
darr lagta hai...
Kabhi hasti hu, kabhi roti hu,
khud ke khone se nhi,
ab etna toot chuki hu na,
ki tootne se jyada kisi ke
hone se darr lagta hai...
Or piche mudke meri manjil bhi
dekhti ha raah meri,
Or piche mudke meri manjil bhi
dekhti ha raah meri,
Bta de usko, ki abhi aadhe raaste
hi aaye hu mai...
Zindagi, buss kar,
ab thakk chuki hu mai...
------------------------------------------------------------
Zindagi, buss kar yaar,
ab thakk chuki hu mai...
------------------------------------------------------------
~kajal kaushik
Zindgi baskar
ReplyDeleteVery emotional